Woh Mandvi, woh Tower, woh Baroda ka station..
Woh Mandvi, woh Tower, woh Baroda ka station..!
Woh Ellora-park jo avval tha pani-puri mein,
Woh raunak jo rehti thi Alpkapuri mein,
Woh Payal ki kachori,
woh Rumzum ki chaatein
Woh office main laake samosay thay khaatein..
Kahaan Dairy-den ka ice-cream,
kahaan Rajkamal ke khaman,
Woh Jagdish ke farsan,
woh Kalyaan ka dosa,
Woh Vishaal jo daalta tha Sandwich mein samosa,
Woh Raju ka Omlet,
woh Duliraam ke pende,
Woh halki si baarish mein Sarabhai ke bhajiye,
Kahaan jalaram ki lassi,
aur woh wadi ki tam-tam..
Woh Vaccine aur Aarkee ke rangeele garbay,
Woh home-science ki maalein,
woh fine-arts ke fatkay,
Hansa mehta ke chakkar,
SD Hall ka phera,
Fatehgunj ki sadkon pe ladkon ka dera..
Na career ki chinta,
na naukri ka tension..
Yeh Passport bhi le lo..
yeh greencard bhi le lo..
Bhale chheen lo mujhse mera yeh H1..F1
Magar mujhko lauta do woh Baroda ka jeevan
No comments:
Post a Comment